Wednesday, May 12, 2010

Kuchh es tarha se usy piyar karna parta hai

Kuchh es tarha se usy piyar karna parta hai
Keh apny piyar se inkar karna parta hai,

Kabhi kabhi to woh itna Qareeb hota hai
Keh apny aap ko deewar karna parta hai,

Khuda ne us ko ataa ki hai wo Maseeha'ei
Keh khud ko jaan k bimaar karna parta hai,

Wafa ki raah mein dushwariyan to aati hain
Wafa ki raah ko humwar karna parta hai,

Wo hath rakh k mere dil pe jab poochhta hai
To mujhy dard se inkaar karna parta

0 comments:

Post a Comment

. . Latest News from BBC News . .

۔۔۔ بی بی سی پاکستان ۔۔۔

::: Most Popular SMS and Posts :::

:: Most Recent Post ::