Tuesday, May 25, 2010

AL-QURAAN Sura AL-SHAMS translation

(AL-QURAAN Sura AL-SHAMS)

soraj ki Qasam aur iski dhoop ki
aur chaand ki jub wo Uskay peeechay niklay
aur Din ki jub wo usay roshan kur day
aur raat ki jub wo usay chupa lay
aur aasmaan ki aur us zaat ki jis nay usay banaya
aur zameen ki aur us zaat ki jisnay usay phailaya
aur nafs e insaani ki aur jis nay usay durust kur k banaya
phir is badkaari say bachnay aur parhezgaari kurnay ki samajh di
k jis nay apnay nafs ko paak rukha wo muraad ko pohncha
aur jisnay isay khaak main milaya wo namuraad raha
qom e samood nay apni sarkashi k sabab paghamber ko jhutlaaya
jub unmain say aik nihaayat badbukht utha
to ALLAH k paghamber saaleh (A.S) nay unsay kaha k ALLAH ki oontni aur uskay pani peenay ki baari se khabardaar raho
magar unho nay paighamber ko jhutlaaya aur phir oontni ko maar daala-to inkay RUB nay unko gunah k sabab un par neest o naabood kur dia phir subko barabar kur dia
aur ALLAH ko in k badla lainay ka kuch bhi dur nhn.
----
plz forward 
jazak ALLAH

0 comments:

Post a Comment

. . Latest News from BBC News . .

۔۔۔ بی بی سی پاکستان ۔۔۔

::: Most Popular SMS and Posts :::

:: Most Recent Post ::